Shayari
itnaa masruf kar liyaa khud ko
gham bhi aa kar khushi se lauT gae
ek aalim hai jo sajdon mein gila kartaa hai
ek darvesh hai jo haalaat-e-namnaak mein khush
ایک عالم ہے جو سجدوں میں گلہ کرتا ہے
ایک درویش ہے جو حالات نمناک میں خوش
एक आलिम है जो सज्दों में गिला करता है
एक दरवेश है जो हालात-ए-नमनाक में ख़ुश

itnaa masruf kar liyaa khud ko
gham bhi aa kar khushi se lauT gae
tumhaari khush-nasibi hai ki tum samjhe nahin ab tak
akele-pan mein aur tanhaai mein jo farq hotaa hai
kuchh umr apni zaat kaa dukh jhelte rahe
kuchh umr kaaenaat kaa dukh jhelnaa paDaa
ek laDki chuDiyaan khankaa rahi thi aur tabhi
us khanak se uTh rahaa thaa jaise zindaani kaa shor
kisi se bhi mukhaatib hon koi bhi baat hoti ho
tumhaaraa naam lene kaa bahaana DhunD lete hain
ujlat mein vo dekho kyaa kyaa chhoD gayaa
apni baatein apnaa chehra chhoD gayaa
kabhi darvesh ke takiya mein bhi aa kar dekho
tang-dasti mein bhi aaraam mayassar niklaa
nigaah chaahiye bas ahl-e-dil faqiron ki
buraa bhi dekhun to mujh ko bhalaa nazar aae
ye baadshaah nahin hai faqir hai suraj
hamesha raat ki jholi se din nikaaltaa hai
ghar-baar chhoD kar vo faqiron se jaa mile
chaahat ne baadshaahon ko mahkum kar diyaa
aTe hue hain faqiron ke pairahan 'kaifi'
jahaan ne bhiik mein miTTi bikher kar di hai
main tire dar kaa bhikaari tu mire dar kaa faqir
aadmi is daur mein khuddaar ho saktaa nahin