Shayari
guhar samjhaa thaa lekin sang niklaa
kisi kaa zarf kitnaa tang niklaa
aTe hue hain faqiron ke pairahan 'kaifi'
jahaan ne bhiik mein miTTi bikher kar di hai
اٹے ہوئے ہیں فقیروں کے پیرہن کیفیؔ
جہاں نے بھیک میں مٹی بکھیر کر دی ہے
अटे हुए हैं फ़क़ीरों के पैरहन 'कैफ़ी'
जहाँ ने भीक में मिट्टी बिखेर कर दी है

guhar samjhaa thaa lekin sang niklaa
kisi kaa zarf kitnaa tang niklaa
dekhaa hai mohabbat ko ibaadat ki nazar se
nafrat ke avaamil hamein maayub rahe hain
amn 'kaifi' ho nahin saktaa kabhi
jab talak zulm-o-sitam maujud hai
khizaan kaa daur bhi aataa hai ek din 'kaifi'
sadaa-bahaar kahaan tak darakht rahte hain
phulon kaa tabassum bhi vo pahlaa saa nahin hai
gulshan mein bhi chalti hai havaa aur tarah ki
mohabbaton ko bhi us ne khataa qaraar diyaa
magar ye jurm hamein baar baar karnaa hai
karim jo tujhe denaa hai be-talab de de
faqir huun pa nahin aadat-e-savaal mujhe
ye samajh kar faqiri hi mein hai khudaa
gun hamesha faqiron ke gaate rahe
jazba-e-ishq chaahiye suufi
jo hai afsurda ahl-e-haal nahin
mujh jaise darvesh tumhaari duniyaa mein
marne ki khvaahish mein zinda rahte hain
bhale zamaane mein jis qadar bhi sitam ravaa hon
faqir kaa dar kabhi muqaffal nahin milegaa
marne ke liye aae the ham dasht-e-balaa mein
jiine ki du'aa de gayaa darvesh hamein kyon