Shayari
abhi rail ke safar mein hain bahut nihaal donon
kahin rog ban na jaae yahi saath do ghaDi kaa
makinon ke ta'alluq hi se yaad aati hai har basti
vagarna sirf baam-o-dar se ulfat kaun rakhtaa hai
مکینوں کے تعلق ہی سے یاد آتی ہے ہر بستی
وگرنہ صرف بام و در سے الفت کون رکھتا ہے
मकीनों के तअल्लुक़ ही से याद आती है हर बस्ती
वगरना सिर्फ़ बाम-ओ-दर से उल्फ़त कौन रखता है

abhi rail ke safar mein hain bahut nihaal donon
kahin rog ban na jaae yahi saath do ghaDi kaa
kisi ko saal-e-nau ki kyaa mubaarakbaad di jaae
calender ke badalne se muqaddar kab badaltaa hai
ab to khud apni zarurat bhi nahin hai ham ko
vo bhi din the ki kabhi teri zarurat ham the
ek hi shahr mein rahnaa hai magar milnaa nahin
dekhte hain ye aziyyat bhi gavaara kar ke
guftugu der se jaari hai natije ke baghair
ik nai baat nikal aati hai har baat ke saath
phuul the rang the lamhon ki sabaahat ham the
aise zinda the ki jiine ki alaamat ham the
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
haae re majburiyaan mahrumiyaan naakaamiyaan
ishq aakhir ishq hai tum kyaa karo ham kyaa karein
ham ishq ke maaron kaa itnaa hi fasaanaa hai
rone ko nahin koi hansne ko zamaanaa hai
mohabbat mein ye kyaa maqaam aa rahe hain
ki manzil pe hain aur chale jaa rahe hain
sabhi andaaz-e-husn pyaare hain
ham magar saadgi ke maare hain