Shayari
phuul the rang the lamhon ki sabaahat ham the
aise zinda the ki jiine ki alaamat ham the
kisi ko saal-e-nau ki kyaa mubaarakbaad di jaae
calender ke badalne se muqaddar kab badaltaa hai
کسی کو سال نو کی کیا مبارک باد دی جائے
کلینڈر کے بدلنے سے مقدر کب بدلتا ہے
किसी को साल-ए-नौ की क्या मुबारकबाद दी जाए
कैलन्डर के बदलने से मुक़द्दर कब बदलता है

phuul the rang the lamhon ki sabaahat ham the
aise zinda the ki jiine ki alaamat ham the
ab to khud apni zarurat bhi nahin hai ham ko
vo bhi din the ki kabhi teri zarurat ham the
ek hi shahr mein rahnaa hai magar milnaa nahin
dekhte hain ye aziyyat bhi gavaara kar ke
guftugu der se jaari hai natije ke baghair
ik nai baat nikal aati hai har baat ke saath
main takiye par sitaare bo rahaa huun
janam-din hai akelaa ro rahaa huun
abhi rail ke safar mein hain bahut nihaal donon
kahin rog ban na jaae yahi saath do ghaDi kaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ye do-dili mein rahaa ghar na ghaaT kaa 'anjum'
buton ko kar na sakaa khush khudaa ko paa na sakaa
ik nazar ne kiyaa hai kaam tamaam
aarzu bhi to thi yahi dil ki
sitam hai sitam kaaba-e-dil kaa Dhaanaa
ye kyaa kar rahe ho ye kyaa ho rahaa hai
puchh kar kaun dil dukhaataa hai
haadse kab bataa ke hote hain