Shayari
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
sabhi andaaz-e-husn pyaare hain
ham magar saadgi ke maare hain
سبھی انداز حسن پیارے ہیں
ہم مگر سادگی کے مارے ہیں
सभी अंदाज़-ए-हुस्न प्यारे हैं
हम मगर सादगी के मारे हैं

sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
meri nigaah-e-shauq bhi kuchh kam nahin magar
phir bhi tiraa shabaab tiraa hi shabaab hai
vo nazron hi nazron mein savaalaat ki duniyaa
vo aankhon hi aankhon mein javaabaat kaa aalam
nigaah-e-shauq ne mahshar mein saaf taaD liyaa
kahaan vo chhupte ki aankhon mein the samaae hue
ham kahin aate hain vaaiz tire bahkaane mein
isi maikhaane ki miTTi isi maikhaane mein
aadat ke baa'd dard bhi dene lagaa mazaa
hans hans ke aah aah kiye jaa rahaa huun main
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jaan-nisaaraan-e-mohabbat mein na ho apnaa shumaar
imtihaan is liye zaalim ne hamaaraa na kiyaa
be-takalluf maqaam-e-ulfat hai
daagh uTThe ki aabla baiThe
haan ye to bataa ai dil-e-mahrum-e-tamannaa
ab bhi koi hotaa hai ki armaan nahin hotaa
roz malte hain munh par apne bhabhut
ishq mein ham ne le liyaa bairaag