Shayari
shaam jaldi se guzar jaaegi to ham
is udaasi ko dabaa deinge kahin par
log koi aur hi matlab nikaalein dosti kaa
aap pahlu se mire thoDaa saa haT ke baiThaa kiije
لوگ کوئی اور ہی مطلب نکالیں دوستی کا
آپ پہلو سے مرے تھوڑا سا ہٹ کے بیٹھا کیجے
लोग कोई और ही मतलब निकालें दोस्ती का
आप पहलू से मिरे थोड़ा सा हट के बैठा कीजे

shaam jaldi se guzar jaaegi to ham
is udaasi ko dabaa deinge kahin par
dekhne haalat miri sab aae hain
ek bas us sang-dil ko chhoD kar
zindagi achchhi bahut hai
aaj phir se jhuuT bolaa
chashm-o-lab-o-rukhsaar par bose diye
ham ne zaraa si der mein kyaa kyaa kiyaa
aasmaan kaa ham khasaaraa kaise karte
us sitaare ko sharaara kaise karte
chaae piite aur baatein karte lekin
tum yahaan aae ho ghussa saath le kar
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
koThe pe chehra-e-pur-nur dikhaayaa sar-e-shaam
yaar se rajat-e-khurshid kaa ejaaz huaa
naaseh ne meraa haal jo mujh se bayaan kiyaa
aansu Tapak paDe mire be-ikhtiyaar aaj
dushmanon se dosti ghairon se yaari chaahiye
khaak ke putle bane to khaaksaari chaahiye
tere kuche mein hai sakun varna
har zamin aasmaan hai pyaare
karti hai mujhe qatl mire yaar ki talvaar
talvaar ki talvaar hai raftaar ki raftaar