Shayari
dekhne haalat miri sab aae hain
ek bas us sang-dil ko chhoD kar
shaam jaldi se guzar jaaegi to ham
is udaasi ko dabaa deinge kahin par
شام جلدی سے گزر جائے گی تو ہم
اس اداسی کو دبا دیں گے کہیں پر
शाम जल्दी से गुज़र जाएगी तो हम
इस उदासी को दबा देंगे कहीं पर

dekhne haalat miri sab aae hain
ek bas us sang-dil ko chhoD kar
zindagi achchhi bahut hai
aaj phir se jhuuT bolaa
chashm-o-lab-o-rukhsaar par bose diye
ham ne zaraa si der mein kyaa kyaa kiyaa
aasmaan kaa ham khasaaraa kaise karte
us sitaare ko sharaara kaise karte
log koi aur hi matlab nikaalein dosti kaa
aap pahlu se mire thoDaa saa haT ke baiThaa kiije
chaae piite aur baatein karte lekin
tum yahaan aae ho ghussa saath le kar
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
aadhi se ziyaada shab-e-gham kaaT chukaa huun
ab bhi agar aa jaao to ye raat baDi hai
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki