Shayari
kitni tavil kyuun na ho baatil ki zindagi
har raat kaa hai subh muqaddar na bhulnaa
hazaar manzil-e-gham se guzar chuke lekin
abhi junun-e-mohabbat ki ibtidaa bhi nahin
ہزار منزل غم سے گزر چکے لیکن
ابھی جنون محبت کی ابتدا بھی نہیں
हज़ार मंज़िल-ए-ग़म से गुज़र चुके लेकिन
अभी जुनून-ए-मोहब्बत की इब्तिदा भी नहीं

kitni tavil kyuun na ho baatil ki zindagi
har raat kaa hai subh muqaddar na bhulnaa
maan ne likhaa hai khat mein jahaan jaao khush raho
mujh ko bhale na yaad karo ghar na bhulnaa
jab bhi miltaa huun vahi chehra liye
bad-duaa detaa hai aaina mujhe
taar-e-nazar bhi gham ki tamaazat se khushk hai
vo pyaas hai mile to samundar sameT luun
aarzu thi khinchte ham bhi koi aks-e-hayaat
kyaa karein ab ke lahu aankhon se Tapkaa hi nahin
vaqt-e-safar qarib hai bistar sameT luun
bikhraa huaa hayaat kaa daftar sameT luun
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kashish tujh si na thi tere ghamon mein
lab-o-lahja magar haan hu-ba-hu thaa
aur kuchh der gham nazar mein rakh
kyaa khabar mil hi jaae thaah kahin