Shayari
kitni tavil kyuun na ho baatil ki zindagi
har raat kaa hai subh muqaddar na bhulnaa
maan ne likhaa hai khat mein jahaan jaao khush raho
mujh ko bhale na yaad karo ghar na bhulnaa
ماں نے لکھا ہے خط میں جہاں جاؤ خوش رہو
مجھ کو بھلے نہ یاد کرو گھر نہ بھولنا
माँ ने लिखा है ख़त में जहाँ जाओ ख़ुश रहो
मुझ को भले न याद करो घर न भूलना

kitni tavil kyuun na ho baatil ki zindagi
har raat kaa hai subh muqaddar na bhulnaa
hazaar manzil-e-gham se guzar chuke lekin
abhi junun-e-mohabbat ki ibtidaa bhi nahin
jab bhi miltaa huun vahi chehra liye
bad-duaa detaa hai aaina mujhe
taar-e-nazar bhi gham ki tamaazat se khushk hai
vo pyaas hai mile to samundar sameT luun
aarzu thi khinchte ham bhi koi aks-e-hayaat
kyaa karein ab ke lahu aankhon se Tapkaa hi nahin
vaqt-e-safar qarib hai bistar sameT luun
bikhraa huaa hayaat kaa daftar sameT luun
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
udaas dekh ke mujh ko chaman dikhaataa hai
kai baras mein huaa hai mizaaj-daan sayyaad
kis munh se karein un ke taghaaful ki shikaayat
khud ham ko mohabbat kaa sabaq yaad nahin hai
jab na thaa zabt to kyuun aae ayaadat ke liye
tum ne kaahe ko miraa haal-e-pareshaan dekhaa
duniyaa mein hain kaam bahut
mujh ko itnaa yaad na aa