Shayari
log nazron ko bhi paDh lete hain
apni aankhon ko jhukaae rakhnaa
kuchh mujhe bhi yahaan qaraar nahin
kuchh tiraa gham bhi dar-ba-dar hai yahaan
کچھ مجھے بھی یہاں قرار نہیں
کچھ ترا غم بھی در بہ در ہے یہاں
कुछ मुझे भी यहाँ क़रार नहीं
कुछ तिरा ग़म भी दर-ब-दर है यहाँ

log nazron ko bhi paDh lete hain
apni aankhon ko jhukaae rakhnaa
chaman ke rang-o-bu ne is qadar dhokaa diyaa mujh ko
ki main ne shauq-e-gul-bosi mein kaanTon par zabaan rakh di
Takraa ke sar ko apnaa lahu aap chaaTte
achchhaa huaa ki dasht mein divaar-o-dar na the
baarhaa ThiThkaa huun khud bhi apnaa saaya dekh kar
log bhi katraae kyaa kyaa mujh ko tanhaa dekh kar
nikal kar aa gae hain jangalon mein
makaan ko laa-makaan karnaa paDaa hai
main apni zaat ki tashrih kartaa phirtaa thaa
na jaane phir kahaan aavaaz kho gai meri
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jafaa ki baatein sadaa banaanaa vafaa ki baatein kabhi na karnaa
khudaa ke ghar mein kami nahin hai kiye mein apne kami na karnaa
raah mein gham-zada-e-ishq ko kyaa Toko ho
apni haalat mein giraftaar chalaa jaataa hai
main Duubaa jaa rahaa huun un sadaaon ke bhanvar mein
mujhe ab chaaron jaanib se pukaaraa jaa rahaa hai