Shayari
dehaat ke basne vaale to ikhlaas ke paikar hote hain
ai kaash nai tahzib ki rau shahron se na aati gaanv mein
jo baa-khabar the vo dete rahe fareb mujhe
tiraa pata jo milaa ek be-khabar se milaa
جو با خبر تھے وہ دیتے رہے فریب مجھے
ترا پتہ جو ملا ایک بے خبر سے ملا
जो बा-ख़बर थे वो देते रहे फ़रेब मुझे
तिरा पता जो मिला एक बे-ख़बर से मिला

dehaat ke basne vaale to ikhlaas ke paikar hote hain
ai kaash nai tahzib ki rau shahron se na aati gaanv mein
mire dil pe haath rakh kar mujhe dene vaale taskin
kahin dil ki dhaDkanon se tujhe choT aa na jaae
ek hi anjaam hai ai dost husn o ishq kaa
shama bhi bujhti hai parvaanon ke jal jaane ke baad
fareb-khurda hai itnaa ki mere dil ko abhi
tum aa chuke ho magar intizaar baaqi hai
mere kirdaar mein muzmar hai tumhaaraa kirdaar
dekh kar kyuun miri tasvir khafaa ho tum log
di us ne mujh ko jurm-e-mohabbat ki vo sazaa
kuchh be-qusur log sazaa maangne lage
ajab nahin ki ye dariyaa nazar kaa dhokaa ho
ajab nahin ki koi raasta nikal aae
husn ye hai ki dilrubaa ho tum
aib ye hai ki bevafaa ho tum
aagahi se mili hai tanhaai
aa miri jaan mujh ko dhokaa de
kahte nahin hain haal kisi raazdaan se ham
vaaqif hue hain jab se fareb-e-jahaan se ham
kyaa kijiye kashish hai kuchh aisi gunaah mein
main varna yuun fareb mein aataa bahaar ke
khudaa kare kahin mai-khaane ki taraf na muDe
vo mohtasib ki savaari fareb-e-raah ruki