Shayari
kaun jiine ke liye martaa rahe
lo sambhaalo apni duniyaa ham chale
naa-umidi harf-e-tohmat hi sahi kyaa kijiye
tum qarib aate nahin ho aur khudaa miltaa nahin
ناامیدی حرف تہمت ہی سہی کیا کیجئے
تم قریب آتے نہیں ہو اور خدا ملتا نہیں
ना-उमीदी हर्फ़-ए-तोहमत ही सही क्या कीजिए
तुम क़रीब आते नहीं हो और ख़ुदा मिलता नहीं

kaun jiine ke liye martaa rahe
lo sambhaalo apni duniyaa ham chale
kis ko fursat thi ki 'akhtar' dekhtaa meri taraf
main jahaan jis bazm mein jab tak rahaa tanhaa rahaa
band rakkhoge dariche dil ke yaaro kab talak
koi dastak de rahaa hai uTh ke dekho to sahi
charaagh le ke use DhunDne chalaa huun main
jo aaftaab ki maanind ik ujaalaa hai
bahut qarib rahi hai ye zindagi ham se
bahut aziiz sahi e'tibaar kuchh bhi nahin
tu kahaani hi ke parde mein bhali lagti hai
zindagi teri haqiqat nahin dekhi jaati
ye hausla bhi kisi roz kar ke dekhungi
agar main zakhm huun us kaa to bhar ke dekhungi
saraa-e-ishq mein baiThe hue hain dil vaale
aur ek aakhiri tohmat ke intizaar mein hain
ik lahar us ki aankh mein hai hausla-shikan
ik rang us ke chehre pe bahkaane vaalaa hai
hazaaron tamannaaon ke khuun se ham ne
kharidi hai ik tohmat-e-paarsaai
dil-e-sarshaar miraa chashm-e-siyah-mast tiri
jazba Takraa de na paimaane se paimaane ko
mushkil kaa saamnaa ho to himmat na haariye
himmat hai shart saahib-e-himmat se kyaa na ho