Shayari
husn-o-jamaal-o-zist ki aaraaishein fuzul
ishq-o-junun ki aag jo dil mein javaan na ho
khvaahishein khvaab dikhaati hain tire milne kaa
khvaab se kah de ki taabir ki surat aae
خواہشیں خواب دکھاتی ہیں ترے ملنے کا
خواب سے کہہ دے کہ تعبیر کی صورت آئے
ख़्वाहिशें ख़्वाब दिखाती हैं तिरे मिलने का
ख़्वाब से कह दे कि ता'बीर की सूरत आए

husn-o-jamaal-o-zist ki aaraaishein fuzul
ishq-o-junun ki aag jo dil mein javaan na ho
lo hamaaraa javaab le jaao
ye mahaktaa gulaab le jaao
Thiik hai jaao ta'alluq na rakheinge ham bhi
tum bhi vaada karo ab yaad nahin aaoge
jin ke mazbut iraade bane pahchaan un ki
manzilein aap hi ho jaati hain aasaan un ki
ham havaa se bachaa rahe the jinhein
un charaaghon se jal gae shaayad
dil ke gulshan mein tire pyaar ki khushbu paa kar
rang rukhsaar pe phulon se khilaa karte hain
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
khvaahish sab rakhte hain tujh ko paane ki
aur phir apni apni qismat hoti hai
main nigaah-e-paak se dekhe thaa tire husn-e-paak ko is pe bhi
mire ji mein khvaahish-e-vasl thi tire dil mein bos-o-kanaar thaa
kyaa vo khvaahish ki jise dil bhi samajhtaa ho haqir
aarzu vo hai jo siine mein rahe naaz ke saath
tiri vafaa mein mili aarzu-e-maut mujhe
jo maut mil gai hoti to koi baat bhi thi