Shayari
tire ishq ki intihaa chaahtaa huun
miri saadgi dekh kyaa chaahtaa huun
zamaana aql ko samjhaa huaa hai mishal-e-raah
kise khabar ki junun bhi hai saahib-e-idraak
زمانہ عقل کو سمجھا ہوا ہے مشعل راہ
کسے خبر کہ جنوں بھی ہے صاحب ادراک
zamāna aql ko samjhā huā hai mish.al-e-rāh
kise ḳhabar ki junūñ bhī hai sāhib-e-idrāk

Sir Muhammad Iqbal was a philosopher, poet, and politician whose poetry revolves around self-realisation and the ideal of a perfect human being.
Sir Muhammad Iqbal was a philosopher, poet, and politician whose poetry revolves around self-realisation and the ideal of a perfect human being.
1877–1938
View all quotes by Allama Iqbaltire ishq ki intihaa chaahtaa huun
miri saadgi dekh kyaa chaahtaa huun
haan dikhaa de ai tasavvur phir vo subh o shaam tu
dauD pichhe ki taraf ai gardish-e-ayyaam tu
nahin is khuli fazaa mein koi gosha-e-faraaghat
ye jahaan ajab jahaan hai na qafas na aashiyaana
nahin teraa nasheman qasr-e-sultaani ke gumbad par
tu shaahin hai baseraa kar pahaaDon ki chaTaanon mein
azaab-e-daanish-e-haazir se baa-khabar huun main
ki main is aag mein Daalaa gayaa huun misl-e-khalil
baatil se dabne vaale ai aasmaan nahin ham
sau baar kar chukaa hai tu imtihaan hamaaraa
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
dekhi hai ek film puraani to yuun lagaa
jaise ki koi kaam kiyaa hai savaab kaa
'momin-miyaan' ye kaam nahin hai ye ishq hai
kyaa soch mein paDe ho karun yaa karun nahin
jis bhi fankaar kaa shahkaar ho tum
us ne sadiyon tumhein sochaa hogaa
himmat vaale pal mein badal dete hain duniyaa ko
sochne vaalaa dil to baiThaa sochaa kartaa hai