Shayari
kyuun bataataa nahin koi kuchh bhi
aakhir aisaa bhi kyaa huaa hai mujhe
main bhi bikhraa huaa huun apnon mein
vo bhi tanhaa saa apne ghar mein hai
میں بھی بکھرا ہوا ہوں اپنوں میں
وہ بھی تنہا سا اپنے گھر میں ہے
मैं भी बिखरा हुआ हूँ अपनों में
वो भी तन्हा सा अपने घर में है

kyuun bataataa nahin koi kuchh bhi
aakhir aisaa bhi kyaa huaa hai mujhe
khud-kushi jaisi koi baat nahin
ik zaraa mujh ko bad-gumaani hai
mujhe pata hai ki rone se kuchh nahin hotaa
nayaa saa dukh hai to thoDaa chhalak gayaa huun main
sab sitaare dilaasa dete hain
chaand raaton ko chikhtaa hai bahut
kyaa zarurat hai mujh ko chehre ki
kaun chehre se jaantaa hai mujhe
ajiib khvaab thaa aankhon mein niind chhoD gayaa
ki niind guzri hai mujh ko zalil karte hue
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
main nibal tanhaa na is duniyaa ki sohbat siin huaa
rustamon kuun kar diyaa hai naa-tavaan inzaal niin
tu kahaan rahti hai puchhaa thaa kisi ne ek din
main ghamon ke saath rahti huun khushi kahne lagi
kiyaa dard-o-gham ne mujhe naa-umid
ki majnun ko ye hi thiin bimaariyaan