Shayari
annyaae ne bhar di hai bahut aag dilon mein
lanka hi kahin is mein jo jal jaae to achchhaa
had-e-imkaan se aage main jaanaa chaahtaa huun par
abhi imaan aadhaa hai abhi laghzish adhuri hai
حد امکان سے آگے میں جانا چاہتا ہوں پر
ابھی ایمان آدھا ہے ابھی لغزش ادھوری ہے
हद-ए-इमकान से आगे मैं जाना चाहता हूँ पर
अभी ईमान आधा है अभी लग़्ज़िश अधूरी है

annyaae ne bhar di hai bahut aag dilon mein
lanka hi kahin is mein jo jal jaae to achchhaa
mire liye hain musibat ye aaina-khaane
yahaan zamir miraa be-naqaab rahtaa hai
dilkashi thi unsiyat thi yaa mohabbat yaa junun
sab maraahil tujh se jo mansub the achchhe lage
nai naslon ke haathon mein bhi taabinda rahegaa
main mil jaaungaa miTTi mein qalam zinda rahegaa
pyaar kaa donon pe aakhir jurm saabit ho gayaa
ye farishte aaj jannat se nikaale jaaeinge
vaaiz safar to meraa bhi thaa ruuh ki taraf
par kyaa karun ki raah mein ye jism aa paDaa
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vahi do-chaar chehre ajnabi se
unhin ko phir se dohraanaa paDegaa
nishaan-e-manzil-e-jaanaan mile mile na mile
maze ki chiiz hai ye zauq-e-jushtuju meraa
kisi se koi bhi ummid rakhnaa chhoD kar dekho
to ye rishta nibhaanaa kis qadar aasaan ho jaae
dil ko to bahut pahle se dhaDkaa saa lagaa thaa
paanaa tiraa shaayad tujhe khone ke liye hai