Shayari
vaqt ki tez havaaon ne ajab moD liyaa
phuul se haath jo the un mein bhi patthar nikle
har dar pe ik baang lagaavein bhalaa karo bas bhalaa karo
ek hi shikva ek hi naala subh kiyaa aur shaam kiyaa
ہر در پہ اک بانگ لگاویں بھلا کرو بس بھلا کرو
ایک ہی شکوہ ایک ہی نالہ صبح کیا اور شام کیا
हर दर पे इक बाँग लगावें भला करो बस भला करो
एक ही शिकवा एक ही नाला सुब्ह किया और शाम किया

vaqt ki tez havaaon ne ajab moD liyaa
phuul se haath jo the un mein bhi patthar nikle
un ki tamannaa meri koshish baaham vaade aur qasmein
kuchh meri taqdir ke sadqe baaqi sab haalaat ke naam
kitaab ziist mein baab-e-alam bhi ho mahfuz
siyaah-raat kaa manzar sahar mein rakkhaa jaae
dard aisaa diyaa ehsaas-e-vafaa ne ham ko
na davaa ne hi shifaa di na duaa ne ham ko
jise bhi dekho vahi ajnabi saa lagtaa hai
tumhaare shahr mein koi bhi aashnaa na milaa
main hi thaa ik aankh na bhaaon vo to ab bhi yaar hain tere
jin logon ne teraa charchaa baazaaron mein aam kiyaa
hai mire pahlu mein aur mujh ko nazar aataa nahin
us pari kaa sehr yaaro kuchh kahaa jaataa nahin
raat aakhir hai yahaan aayaa nazar aasaar-e-subh
shama ki phiki hai lau honTon ki hai laali hai udaas
ai shab-e-gham mire muqaddar ki
tere daaman mein ik sahar hoti
kitni tavil kyuun na ho baatil ki zindagi
har raat kaa hai subh muqaddar na bhulnaa
aae hain log raat ki dahliz phaand kar
un ke liye naved-e-sahar honi chaahiye
kisi ne Dubti subhon taDapti shaamon ko
ghazal ke jaam mein shab kaa khumaar bhejaa hai