Shayari
vaqt ki tez havaaon ne ajab moD liyaa
phuul se haath jo the un mein bhi patthar nikle
un ki tamannaa meri koshish baaham vaade aur qasmein
kuchh meri taqdir ke sadqe baaqi sab haalaat ke naam
ان کی تمنا میری کوشش باہم وعدے اور قسمیں
کچھ میری تقدیر کے صدقے باقی سب حالات کے نام
उन की तमन्ना मेरी कोशिश बाहम वा'दे और क़स्में
कुछ मेरी तक़दीर के सदक़े बाक़ी सब हालात के नाम

vaqt ki tez havaaon ne ajab moD liyaa
phuul se haath jo the un mein bhi patthar nikle
kitaab ziist mein baab-e-alam bhi ho mahfuz
siyaah-raat kaa manzar sahar mein rakkhaa jaae
dard aisaa diyaa ehsaas-e-vafaa ne ham ko
na davaa ne hi shifaa di na duaa ne ham ko
jise bhi dekho vahi ajnabi saa lagtaa hai
tumhaare shahr mein koi bhi aashnaa na milaa
main hi thaa ik aankh na bhaaon vo to ab bhi yaar hain tere
jin logon ne teraa charchaa baazaaron mein aam kiyaa
har dar pe ik baang lagaavein bhalaa karo bas bhalaa karo
ek hi shikva ek hi naala subh kiyaa aur shaam kiyaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kyaa dikhaataa hai falak-e-garm tu naan-e-khurshid
khaanaa khaate hain sadaa ahl-e-tavakkul ThanDaa
shaam hote hi khuli saDkon ki yaad aati hai
sochtaa roz huun main ghar se nahin niklungaa