Shayari
khvaab aansu ehtajaaji zindagi
puchhiye mat shahr-e-kalkatta hai kyaa
kaun detaa hai sadaaein mujh ko
kis ke honTon kaa asar baaqi hai
کون دیتا ہے صدائیں مجھ کو
کس کے ہونٹوں کا اثر باقی ہے
कौन देता है सदाएँ मुझ को
किस के होंटों का असर बाक़ी है

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
tujh ko paa kar bhi na kam ho saki be-taabi-e-dil
itnaa aasaan tire ishq kaa gham thaa hi nahin
ishq abhi se tanhaa tanhaa
hijr ki bhi aai nahin naubat
ham to kuchh der hans bhi lete hain
dil hamesha udaas rahtaa hai