Shayari
ab imtiyaaz-e-zaahir-o-baatin bhi miT gayaa
dil chaak ho rahaa hai garebaan ke saath saath
betaabi-e-hayaat mein aasudgi bhi thi
kuchh teraa gham bhi thaa gham-e-dauraan ke saath saath
بیتابیٔ حیات میں آسودگی بھی تھی
کچھ تیرا غم بھی تھا غم دوراں کے ساتھ ساتھ
बेताबी-ए-हयात में आसूदगी भी थी
कुछ तेरा ग़म भी था ग़म-ए-दौराँ के साथ साथ

ab imtiyaaz-e-zaahir-o-baatin bhi miT gayaa
dil chaak ho rahaa hai garebaan ke saath saath
kyaa kyaa faraaghatein thiin mayassar hayaat ko
vo din bhi the ki tere sivaa koi gham na thaa
khulus-e-niyat-e-rahbar pe munhasir hai 'azim'
maqaam-e-ishq bahut duur bhi hai paas bhi hai
dard-e-mahrumi-e-jaaved bhi ik daulat hai
ahl-e-gham bhi tire sharminda-e-ehsaan nikle
aaj tak yaad hai vo shaam-e-judaai kaa samaan
teri aavaaz ki larzish tire lahje ki thakan
ek dard-e-hasti ne umr bhar rifaaqat ki
varna saath detaa hai kaun aakhiri dam tak
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
dard aur dard bhi judaai kaa
aise bimaar ki duaa kab tak
bhiiD ke khauf se phir ghar ki taraf lauT aayaa
ghar se jab shahr mein tanhaai ke Dar se niklaa
fazaa udaas hai rut muzmahil hai main chup huun
jo ho sake to chalaa aa kisi ki khaatir tu