Shayari
dil ke zakhmon ko sajaane kaa hunar rakhtaa huun
mustaqil main tiri yaadon kaa safar rakhtaa huun
A
Ameer Nehtaurivaqaar-e-shauq se gir kar bhi vaar mat karnaa
mile jo zakhmi parinda shikaar mat karnaa
وقار شوق سے گر کر بھی وار مت کرنا
ملے جو زخمی پرندہ شکار مت کرنا
वक़ार-ए-शौक़ से गिर कर भी वार मत करना
मिले जो ज़ख़्मी परिंदा शिकार मत करना
dil ke zakhmon ko sajaane kaa hunar rakhtaa huun
mustaqil main tiri yaadon kaa safar rakhtaa huun
dard ne li angDaai aisi
zakhm kaa ik ik Taankaa TuuTaa
ham apne zakhmon pe rakh lein namak zaruri hai
dayaar-e-ishq mein un ki mahak zaruri hai
hogi na chaaraagar tiri tadbir kaargar
ham ko khud apne zakhmon ki chaahat hai aaj-kal
furqat ki shab khaamoshiyaan zakhmon ki phir angDaaiyaan
aankhein jab apni nam huiin bechaargi achchhi lagi
ruuh se lipTe dard ke manzar
TuuT rahe hain zakhm ke paikar
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
ishq phir ishq hai aashufta-sari maange hai
hosh ke daur mein bhi jaama-dari maange hai
roz hi piinaa roz pilaanaa roz ghamon se Takraanaa
ik din mai ko bhuul ke aao gangaa-jal ki baat karein
aab-e-haivaan ko mai se kyaa nisbat
paani paani hai aur sharaab sharaab
aankhon se pilaate raho saaghar mein na Daalo
ab ham se koi jaam uThaayaa nahin jaataa