Shayari
naachti hai jab tu apne dilrubaa andaaz se
aafrin ke naghme uThte hain dilon ke saaz se
aab-e-haivaan ko mai se kyaa nisbat
paani paani hai aur sharaab sharaab
آب حیواں کو مے سے کیا نسبت
پانی پانی ہے اور شراب شراب
आब-ए-हैवाँ को मय से क्या निस्बत
पानी पानी है और शराब शराब

naachti hai jab tu apne dilrubaa andaaz se
aafrin ke naghme uThte hain dilon ke saaz se
thak thak ke tiri raah mein yuun baiTh gayaa huun
goyaa ki bas ab mujh se safar ho nahin saktaa
zamaana aayaa kuchh aisaa ki ab to har ghar mein
laTak rahi hai masarrat nazir ki tasvir
ik 'muzaffar'-gaDhi ke haathon se kaar-naama huaa hai laa-saani
jis ki takhliq naghma-e-sahraa naam 'kashfi' ba-urf 'multaani'
teri aankhein hain ki aahu-e-khutan ki aankhein
mahv-e-hairat thiin javaanaan-e-chaman ki aankhein
'kashfi' ko koi puchhne aae to dosto
kahnaa ki chand sher sunaa kar chale gae
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
agar khamosh rahun main to tu hi sab kuchh hai
jo kuchh kahaa to tiraa husn ho gayaa mahdud
kuchh to apne liye bhi rakhnaa hai
zakhm auron ko kyuun dikhaaein sab
ye vaqt kaifiyaat se bhartaa nahin kabhi
ye jaam ikhtiyaar nahin kar rahaa huun main
koi puraanaa khat kuchh bhuli-bisri yaad
zakhmon par vo lamhe marham hote hain