Shayari
vaqaar-e-shauq se gir kar bhi vaar mat karnaa
mile jo zakhmi parinda shikaar mat karnaa
A
Ameer Nehtauriham apne zakhmon pe rakh lein namak zaruri hai
dayaar-e-ishq mein un ki mahak zaruri hai
ہم اپنے زخموں پہ رکھ لیں نمک ضروری ہے
دیار عشق میں ان کی مہک ضروری ہے
हम अपने ज़ख़्मों पे रख लें नमक ज़रूरी है
दयार-ए-इश्क़ में उन की महक ज़रूरी है
vaqaar-e-shauq se gir kar bhi vaar mat karnaa
mile jo zakhmi parinda shikaar mat karnaa
dil ke zakhmon ko sajaane kaa hunar rakhtaa huun
mustaqil main tiri yaadon kaa safar rakhtaa huun
dard ne li angDaai aisi
zakhm kaa ik ik Taankaa TuuTaa
hogi na chaaraagar tiri tadbir kaargar
ham ko khud apne zakhmon ki chaahat hai aaj-kal
furqat ki shab khaamoshiyaan zakhmon ki phir angDaaiyaan
aankhein jab apni nam huiin bechaargi achchhi lagi
ruuh se lipTe dard ke manzar
TuuT rahe hain zakhm ke paikar
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
tamaam umr tiraa intizaar ham ne kiyaa
is intizaar mein kis kis se pyaar ham ne kiyaa