Shayari
jab kisi ne haal puchaa ro diyaa
chashm-e-tar tu ne to mujh ko kho diyaa
DhunDoge agar mulkon mulkon milne ke nahin naayaab hain ham
jo yaad na aae bhuul ke phir ai ham-nafaso vo khvaab hain ham
ڈھونڈوگے اگر ملکوں ملکوں ملنے کے نہیں نایاب ہیں ہم
جو یاد نہ آئے بھول کے پھر اے ہم نفسو وہ خواب ہیں ہم
ढूँडोगे अगर मुल्कों मुल्कों मिलने के नहीं नायाब हैं हम
जो याद न आए भूल के फिर ऐ हम-नफ़सो वो ख़्वाब हैं हम

jab kisi ne haal puchaa ro diyaa
chashm-e-tar tu ne to mujh ko kho diyaa
iid mein iid hui aish kaa saamaan dekhaa
dekh kar chaand jo munh aap kaa ai jaan dekhaa
naazuk thaa bahut kuchh dil meraa ai 'shaad' tahammul ho na sakaa
ik Thes lagi thi yuun hi si kiyaa jald ye shisha TuuT gayaa
talab karein bhi to kyaa shai talab karein ai 'shaad'
hamein to aap nahin apnaa muddaaa maalum
dekhaa kiye vo mast nigaahon se baar baar
jab tak sharaab aai kai daur ho gae
izhaar-e-muddaaa kaa iraada thaa aaj kuchh
tevar tumhaare dekh ke khaamosh ho gayaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
main jinhein yaad huun ab tak yahi kahte honge
shaahzaada kabhi naakaam nahin aa saktaa
dhuul uDti hai to yaad aataa hai kuchh
miltaa-jultaa thaa libaada meraa
hazaar talkh hon yaadein magar vo jab bhi mile
zabaan pe achchhe dinon kaa hi zaaiqa rakhnaa
mere naghmaat ki taqdir na pahunche tujh tak
meri fariyaad ki qismat ki tujhe chhu aai
khilte hain dil mein phuul tiri yaad ke tufail
aatish-kada to der hui sard ho gayaa