Shayari
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
tumhein to aaegi bas 'mir' ki khumaari pasand
kahaan 'amulya' ki ghazlein kahaan tumhaari pasand
تمہیں تو آئے گی بس میرؔ کی خماری پسند
کہاں امولیہؔ کی غزلیں کہاں تمہاری پسند
तुम्हें तो आएगी बस 'मीर' की ख़ुमारी पसंद
कहाँ 'अमूल्य' की ग़ज़लें कहाँ तुम्हारी पसंद

shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein