Shayari
shama ik mom ke paikar ke sivaa kuchh bhi na thi
aag jab tan mein lagaai hai to jaan aai hai
ab ban ke falak-zaad dikhaate hain hamein aankh
zarre vahi kal jin ko uchhaalaa thaa hamin ne
اب بن کے فلک زاد دکھاتے ہیں ہمیں آنکھ
ذرے وہی کل جن کو اچھالا تھا ہمیں نے
अब बन के फ़लक-ज़ाद दिखाते हैं हमें आँख
ज़र्रे वही कल जिन को उछाला था हमीं ने

shama ik mom ke paikar ke sivaa kuchh bhi na thi
aag jab tan mein lagaai hai to jaan aai hai
ishq mein vo bhi ek vaqt hai jab
be-gunaahi gunaah hai pyaare
main faqat insaan huun hindu musalmaan kuchh nahin
mere dil ke dard mein tafriq-e-imaan kuchh nahin
kahne ko lafz do hain ummid aur hasrat
in mein nihaan magar ik duniyaa ki daastaan hai
us ik nazar ke bazm mein qisse bane hazaar
utnaa samajh sakaa jise jitnaa shuur thaa
nizaam-e-mai-kada saaqi badalne ki zarurat hai
hazaaron hain safein jin mein na mai aai na jaam aayaa
sau iid agar zamaane mein laae falak va-lek
ghar se hamaare maah-e-muharram na jaaegaa
miri uDaan agar mujh ko niche aane de
to aasmaan ki gahraai mein utar jaaun
aap daaman ko sitaaron se sajaae rakhiye
meri qismat mein to patthar ke sivaa kuchh bhi nahin
koi zamin hai to koi aasmaan hai
har shakhs apni zaat mein ik daastaan hai
in sitaaron mein kahin tum bhi ho
in nazaaron mein kahin main bhi huun
ye aarzu ke sitaare ye intizaar ke phuul
chamak rahi hain khataaein mahak rahe hain gunaah