Shayari
maut ki aarzu mein divaane
umr-bhar zindagi se laDte hain
aaj insaan ko tapte sahraa mein
bahtaa dariyaa talaash karnaa hai
آج انساں کو تپتے صحرا میں
بہتا دریا تلاش کرنا ہے
आज इंसाँ को तपते सहरा में
बहता दरिया तलाश करना है

maut ki aarzu mein divaane
umr-bhar zindagi se laDte hain
main muskuraataa magar di na ashk ne mohlat
khushi jab ek mili saath gham hazaar mile
'abr' duniyaa ko chhoD jaane kaa
ik bahaana talaash karnaa hai
lafz yuun khaamushi se laDte hain
jis tarah gham hansi se laDte hain
tujh pe jami hain sab ki nazrein
teri nazar mein kaun rahegaa
kyuun haath dil se lagaate ho baar baar apnaa
kyaa dil mein ab bhi koi be-nazir rahtaa hai
mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
kahin bujhti hai dil ki pyaas ik do ghunT se 'anzar'
main suraj huun mire hisse mein dariyaa likh diyaa jaae
un se bhi puchhiye kabhi apni zamin kaa karb
jo saahilon ko chhoD ke dariyaa mein aa gae
vaise to imaan hai meraa un baanhon ki gunjaaish par
dekhnaa ye hai us kashti mein kitnaa dariyaa aa jaataa hai
sharaab o saaqi-e-mah-ru jo saath hon 'bedaar'
to khush-numaa hai shab-e-maahtaab mein dariyaa
dariyaa mein Dubo deinge sabhi shikve gile ham
saahil pe mulaaqaat mulaaqaat rahegi