Shayari
maut ki aarzu mein divaane
umr-bhar zindagi se laDte hain
kyuun haath dil se lagaate ho baar baar apnaa
kyaa dil mein ab bhi koi be-nazir rahtaa hai
کیوں ہاتھ دل سے لگاتے ہو بار بار اپنا
کیا دل میں اب بھی کوئی بے نظیر رہتا ہے
क्यूँ हाथ दिल से लगाते हो बार बार अपना
क्या दिल में अब भी कोई बे-नज़ीर रहता है

maut ki aarzu mein divaane
umr-bhar zindagi se laDte hain
main muskuraataa magar di na ashk ne mohlat
khushi jab ek mili saath gham hazaar mile
'abr' duniyaa ko chhoD jaane kaa
ik bahaana talaash karnaa hai
lafz yuun khaamushi se laDte hain
jis tarah gham hansi se laDte hain
tujh pe jami hain sab ki nazrein
teri nazar mein kaun rahegaa
aaj insaan ko tapte sahraa mein
bahtaa dariyaa talaash karnaa hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ye sach hai mil baiThne ki had tak to kaam aai hai khush-gumaani
magar dilon mein ye dosti ki numud hai raahat-e-bayaan se
kashti bhi nahin badli dariyaa bhi nahin badlaa
aur Dubne vaalon kaa jazba bhi nahin badlaa
zabaan apni badalne pe koi raazi nahin
vahi javaab hai us kaa vahi savaal miraa