Shayari
muusaa nahin ki taab na laaun main husn ki
be-parda saamne mire tu bhi to aa ke dekh
A
Anisa Haroon Sharwaniyaun se izhaar-e-muddaaa na kiyaa
kyaa kiyaa main ne haae kyaa na kiyaa
ان سے اظہار مدعا نہ کیا
کیا کیا میں نے ہائے کیا نہ کیا
उन से इज़हार-ए-मुद्दआ न किया
क्या किया मैं ने हाए क्या न किया
muusaa nahin ki taab na laaun main husn ki
be-parda saamne mire tu bhi to aa ke dekh
dayaar-e-ishq mein tanhaa rahaa nahin hargiz
khushi ne haath jo chhoDaa to gham ne thaam liyaa
jaate hi un ke ziist ki surat badal gai
allaah itni der mein qismat badal gai
kyaa barbaad jin ko vo tamannaaein tumhaari thiin
na hasrat meri hasrat thi na armaan meraa armaan thaa
teraa naam likhti hain ungliyaan khalaaon mein
ye bhi ik duaa hogi vasl ki duaaon mein
agar ye zid hai ki mujh se duaa salaam na ho
to aisi raah se guzro jo raah-e-aam na ho
jab lagein zakhm to qaatil ko duaa di jaae
hai yahi rasm to ye rasm uThaa di jaae
dekh kar tul-e-shab-e-hijr duaa kartaa huun
vasl ke roz se bhi umr miri kam ho jaae
mujh ko rote dekh kar paas aae vo tafhim ko
kyuun na dil se duun duaaein apne ghain o miim ko
dekho nigaah-e-shauq se meri taraf mujhe
ye muddaaa hai aur koi muddaaa nahin