Shayari
muusaa nahin ki taab na laaun main husn ki
be-parda saamne mire tu bhi to aa ke dekh
A
Anisa Haroon Sharwaniyadayaar-e-ishq mein tanhaa rahaa nahin hargiz
khushi ne haath jo chhoDaa to gham ne thaam liyaa
دیار عشق میں تنہا رہا نہیں ہرگز
خوشی نے ہاتھ جو چھوڑا تو غم نے تھام لیا
दयार-ए-इश्क़ में तन्हा रहा नहीं हरगिज़
ख़ुशी ने हाथ जो छोड़ा तो ग़म ने थाम लिया
muusaa nahin ki taab na laaun main husn ki
be-parda saamne mire tu bhi to aa ke dekh
un se izhaar-e-muddaaa na kiyaa
kyaa kiyaa main ne haae kyaa na kiyaa
jaate hi un ke ziist ki surat badal gai
allaah itni der mein qismat badal gai
kyaa barbaad jin ko vo tamannaaein tumhaari thiin
na hasrat meri hasrat thi na armaan meraa armaan thaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
udaas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain
dasht ki naa-tamaam raahon par
koi saathi hai to shajar tanhaa