Shayari
ye to ho saktaa hai ki donon ki manzil ek ho
phir bhi us ke ham-safar hone ki farmaaish na kar
dil se nikli hui har aah ki taasir mein aa
maang le rab se mujhe aur miri taqdir mein aa
دل سے نکلی ہوئی ہر آہ کی تاثیر میں آ
مانگ لے رب سے مجھے اور مری تقدیر میں آ
दिल से निकली हुई हर आह की तासीर में आ
माँग ले रब से मुझे और मिरी तक़दीर में आ

ye to ho saktaa hai ki donon ki manzil ek ho
phir bhi us ke ham-safar hone ki farmaaish na kar
gharib bhuuk ki Thokar se khuun khuun hue
kisi amiir ko ab to lahu ki baas aae
ye daur mohabbat kaa lahu chaaT rahaa hai
insaan kaa insaan galaa kaaT rahaa hai
jo kar rahe the zamaane se gumrahi kaa safar
unhin ke naam kiyaa haq ne bandagi kaa safar
miri qismat ki kashti bahr-e-gham mein Duub sakti thi
tiri taqdir se shaayad miri taqdir ubhri hai
rah-e-hayaat mein shaayad hi vo maqaam aae
ki naghma-haa-e-junun par sukut taari ho
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
unhein apne dil ki khabrein mire dil se mil rahi hain
main jo un se ruuTh jaaun to payaam tak na pahunche
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
havaa shaakhon mein rukne aur ulajhne ko hai is lamhe
guzarte baadalon mein chaand haail hone vaalaa hai
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein