Shayari
aadmi ke liye ronaa hai baDi baat 'shuur'
hans to sakte hain sab insaan hansi mein kyaa hai
divaar-e-zindaan ke pichhe
jurm-e-mohabbat mein baiThaa huun
دیوار زنداں کے پیچھے
جرم محبت میں بیٹھا ہوں
दीवार-ए-ज़िंदाँ के पीछे
जुर्म-ए-मोहब्बत में बैठा हूँ

aadmi ke liye ronaa hai baDi baat 'shuur'
hans to sakte hain sab insaan hansi mein kyaa hai
miri hayaat hai bas raat ke andhere tak
mujhe havaa se bachaae rakho savere tak
kabhi rotaa thaa us ko yaad kar ke
ab aksar be-sabab rone lagaa huun
go mujhe ehsaas-e-tanhaai rahaa shiddat ke saath
kaaT di aadhi sadi ek ajnabi aurat ke saath
koi zanjir nahin taar-e-nazar se mazbut
ham ne is chaand pe Daali hai kamand aankhon se
'shuur' sirf iraade se kuchh nahin hotaa
amal hai shart iraade sabhi ke hote hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
be-niyaaz-e-dahr kar detaa hai ishq
be-zaron ko laal-o-zar detaa hai ishq
na puchho husn ki taarif ham se
mohabbat jis se ho bas vo hasin hai
rah gayaa dard dil ke pahlu mein
ye jo ulfat thi dard-e-sar na hui
main hikaayat-e-dil-e-be-navaa mein ishaarat-e-gham-e-jaavidaan
main vo harf-e-aakhir-e-motabar jo likhaa gayaa na paDhaa gayaa