Shayari
khushi ki baat aur hai ghamon ki baat aur
tumhaari baat aur hai hamaari baat aur
sukun qalb ko jis se mil jaae 'taabaan'
ghazal koi aisi sunaa dijiyegaa
سکون قلب کو جس سے مل جائے تاباںؔ
غزل کوئی ایسی سنا دیجئے گا
सुकून क़ल्ब को जिस से मिल जाए 'ताबाँ'
ग़ज़ल कोई ऐसी सुना दीजिएगा

khushi ki baat aur hai ghamon ki baat aur
tumhaari baat aur hai hamaari baat aur
har ek shakhs miraa shahr mein shanaasaa thaa
magar jo ghaur se dekhaa to main akelaa thaa
shaayad aa jaae kabhi dekhne vo rashk-e-masih
main kisi aur se is vaaste achchhaa na huaa
ji to ye chaahtaa hai mar jaaein
zindagi ab tiri razaa kyaa hai
aaegaa vo din hamaari zindagi mein bhi zarur
jo andheron ko miTaa kar raushni de jaaegaa
hanste hanste nikal paDe aansu
rote rote kabhi hansi aai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
na kuchh aalim samajhte hain na kuchh jaahil samajhte hain
mohabbat ki haqiqat ko bas ahl-e-dil samajhte hain
nazar jis ki taraf kar ke nigaahein pher lete ho
qayaamat tak phir us dil ki pareshaani nahin jaati
dil-e-betaab kaa andaaz-e-bayaan hai varna
shukr mein kaun si shai hai jo shikaayat mein nahin