Shayari
shama ik mom ke paikar ke sivaa kuchh bhi na thi
aag jab tan mein lagaai hai to jaan aai hai
dil-e-betaab kaa andaaz-e-bayaan hai varna
shukr mein kaun si shai hai jo shikaayat mein nahin
دل بے تاب کا انداز بیاں ہے ورنہ
شکر میں کون سی شے ہے جو شکایت میں نہیں
दिल-ए-बेताब का अंदाज़-ए-बयाँ है वर्ना
शुक्र में कौन सी शय है जो शिकायत में नहीं

shama ik mom ke paikar ke sivaa kuchh bhi na thi
aag jab tan mein lagaai hai to jaan aai hai
ishq mein vo bhi ek vaqt hai jab
be-gunaahi gunaah hai pyaare
main faqat insaan huun hindu musalmaan kuchh nahin
mere dil ke dard mein tafriq-e-imaan kuchh nahin
kahne ko lafz do hain ummid aur hasrat
in mein nihaan magar ik duniyaa ki daastaan hai
us ik nazar ke bazm mein qisse bane hazaar
utnaa samajh sakaa jise jitnaa shuur thaa
nizaam-e-mai-kada saaqi badalne ki zarurat hai
hazaaron hain safein jin mein na mai aai na jaam aayaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
pyaar aankhon se chhalaktaa hi hai
dil ke paimaane mein saaraa na rahe
ishq ne kasrat se jaa ki mujh dil-e-betaab mein
aa bharaa dariyaa-e-aatish qatra-e-simaab mein
aankh bhar ishq aur badan bhar chaah
shukr lab bhar gila zabaan bhar thaa