Shayari
jaane is vaqt kahaan phone paDaa ho us kaa
jaane is vaqt vo kis shakhs ki aaghosh mein ho
safar nigal gae ham ko vagarna ham ne bhi
kahin pahunch ke kisi ko gale lagaanaa thaa
سفر نگل گئے ہم کو وگرنہ ہم نے بھی
کہیں پہنچ کے کسی کو گلے لگانا تھا
सफ़र निगल गए हम को वगरना हम ने भी
कहीं पहुँच के किसी को गले लगाना था

jaane is vaqt kahaan phone paDaa ho us kaa
jaane is vaqt vo kis shakhs ki aaghosh mein ho
sipah-gari kaa hunar bhi sukhan-vari bhi ho
main chaahtaa huun ki lashkar bhi ho pari bhi ho
ek bosa udhaar hai tum par
aur chaae bhi tez patti ki
khudaa ko khat likhungaa khud-kushi kaa
likhungaa main resign kar rahaa huun
us ki aankhon pe mire paas koi she'r nahin
ek mazmun hai mazmun bhi tafsili hai
lams-e-husn-e-'ajib ki khvaahish
sar uThaati thi maar di main ne
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
DhunDne vaale ghalat-fahmi main the
vo anaa ke saath apne sur mein thaa
nayaa chaar din mein puraanaa huaa
yahi sab huaa to nayaa kyaa huaa
hamein to khvaab kaa ik shahr aankhon mein basaanaa thaa
aur is ke baa'd mar jaane kaa sapnaa dekh lenaa thaa