Shayari
ye maanaa sail-e-ashk-e-gham nahin kuchh kam magar 'arshad'
zaraa utraa nahin dariyaa ki banjar jaag uThtaa hai
vo aae to lagaa gham kaa mudaavaa ho gayaa hai
magar ye kyaa ki gham kuchh aur gahraa ho gayaa hai
وہ آئے تو لگا غم کا مداوا ہو گیا ہے
مگر یہ کیا کہ غم کچھ اور گہرا ہو گیا ہے
वो आए तो लगा ग़म का मुदावा हो गया है
मगर ये क्या कि ग़म कुछ और गहरा हो गया है

ye maanaa sail-e-ashk-e-gham nahin kuchh kam magar 'arshad'
zaraa utraa nahin dariyaa ki banjar jaag uThtaa hai
khaak-e-sahraa to bahut duur hai ai vahshat-e-dil
kyuun na zehnon pe jami gard uDaa di jaae
vo zamaane kaa taghayyur ho ki mausam kaa mizaaj
be-zarar donon hain nairangi-e-aadaam ke sivaa
mujh ko talaash karte ho auron ke darmiyaan
hairaan ho rahaa huun tumhaare gumaan par
kabhi un kaa nahin aanaa khabar ke zail mein thaa
magar ab un kaa aanaa hi tamaashaa ho gayaa hai
bilaa-sabab to koi barg bhi nahin hiltaa
tu apne aaj pe asaraat kal ke dekh zaraa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
udaas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain
dasht ki naa-tamaam raahon par
koi saathi hai to shajar tanhaa
raaz-e-gham-e-ulfat ko ye duniyaa na samajh le
aansu mire daaman mein tumhaare bhi mile hain