Shayari
koi to moajaza aisaa bhi ho apni mohabbat mein
tire inkaar se iqraar ki surat nikal aae
kis ke savaal par ye dil rotaa hai saari saari raat
kaun habib hai miraa tere khayaal ke sivaa
کس کے سوال پر یہ دل روتا ہے ساری ساری رات
کون حبیب ہے مرا تیرے خیال کے سوا
किस के सवाल पर ये दिल रोता है सारी सारी रात
कौन हबीब है मिरा तेरे ख़याल के सिवा

koi to moajaza aisaa bhi ho apni mohabbat mein
tire inkaar se iqraar ki surat nikal aae
ajab kashish hai tire hone yaa na hone mein
gumaan ne mujh ko haqiqat se baandh rakkhaa hai
khalaa kaa masala hi mukhtalif hai
samundar is qadar gahraa nahin hai
phailti jaa rahi hai ye duniyaa
jashn-e-aavaargi manaane mein
sabhi taabir us ki likh rahe hain
kisi ne bhi use dekhaa nahin hai
jab main us aadmi se duur huaa
gham miri zindagi se duur huaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa