Shayari
fazaa hai tiira o taarik aur us kaa khayaal
na jaane kaun si duniyaa mein jaa ke soyaa hai
ho intizaar kisi kaa magar miri nazrein
na jaane kyuun tiri aamad ki raah takti hain
ہو انتظار کسی کا مگر مری نظریں
نہ جانے کیوں تری آمد کی راہ تکتی ہیں
हो इंतिज़ार किसी का मगर मिरी नज़रें
न जाने क्यूँ तिरी आमद की राह तकती हैं

vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
tu bevafaa hai tiraa e'tibaar kaun kare
tamaam umr tiraa intizaar kaun kare
ab kaun muntazir hai hamaare liye vahaan
shaam aa gai hai lauT ke ghar jaaein ham to kyaa
hairaan huun is qadar ki shab-e-vasl bhi mujhe
tu saamne hai aur tiraa intizaar hai