Shayari
sikhaa na duaaon mein qanaaat kaa saliqa
vo maang rahaa huun jo muqaddar mein nahin hai
tumhaare saath mire mukhtalif maraasim hain
miri vafaa pe kabhi inhisaar mat karnaa
تمہارے ساتھ مرے مختلف مراسم ہیں
مری وفا پہ کبھی انحصار مت کرنا
तुम्हारे साथ मिरे मुख़्तलिफ़ मरासिम हैं
मिरी वफ़ा पे कभी इन्हिसार मत करना

sikhaa na duaaon mein qanaaat kaa saliqa
vo maang rahaa huun jo muqaddar mein nahin hai
log kahte hain ki vo shakhs hai khushbu jaisaa
saath shaayad use le aae havaa dekhte hain
nahin vo sham-e-mohabbat rahi to phir 'aasim'
ye kis duaa se mire ghar mein raushni si hai
tu mire paas jab nahin hotaa
tujh se kartaa huun kis qadar baatein
miri zabaan ke mausam badalte rahte hain
main aadmi huun miraa e'tibaar mat karnaa
kahin kahin to zamin aasmaan se unchi hai
ye raaz mujh pe khulaa siDhiyaan utarte hue
ho koi mauj-e-tufaan yaa havaa-e-tund kaa jhonkaa
jo pahunchaa de lab-e-saahil usi ko naakhudaa samjho
haan ye bhi tariqa achchhaa hai tum khvaab mein milte ho mujh se
aate bhi nahin gham-khaane tak vaada bhi vafaa ho jaataa hai
rah-e-vafaa mein luTaa kar mataa-e-qalb-o-jigar
kiyaa hai teri mohabbat kaa haq adaa main ne
vafaa karo jafaa mile bhalaa karo buraa mile
hai riit desh desh ki chalan chalan ki baat hai
ye aur baat ki iqraar kar sakein na kabhi
miri vafaa kaa magar un ko e'tibaar to hai
har mauj-e-tund jaanti hai naa-khudaaiyaan
tufaan to mere saath hai gar naakhudaa nahin