Shayari
kuchh andhere hain abhi raah mein haail 'akhtar'
apni manzil pe nazar aaegaa insaan ik roz
ho koi mauj-e-tufaan yaa havaa-e-tund kaa jhonkaa
jo pahunchaa de lab-e-saahil usi ko naakhudaa samjho
ہو کوئی موج طوفاں یا ہوائے تند کا جھونکا
جو پہنچا دے لب ساحل اسی کو ناخدا سمجھو
हो कोई मौज-ए-तूफ़ाँ या हवा-ए-तुंद का झोंका
जो पहुँचा दे लब-ए-साहिल उसी को नाख़ुदा समझो

kuchh andhere hain abhi raah mein haail 'akhtar'
apni manzil pe nazar aaegaa insaan ik roz
abhi bahaar ne sikhi kahaan hai dil-jui
hazaar daagh abhi qalb-e-laala-zaar mein hain
zulm sahte rahe shukr karte rahe aai lab tak na ye daastaan aaj tak
mujh ko hairat rahi anjuman mein tiri kyuun hain khaamosh ahl-e-zabaan aaj tak
dushmani ko buraa na kah ai dost
dekh kyaa dosti hai ghaur se dekh
ajiib bhul-bhulayyaan hai shaahraah-e-hayat
bhaTakne vaale yahaan justuju ki baat na kar
bachaa bachaa ke guzarnaa hai daaman-e-hasti
sharik-e-khaar bhi kuchh jashn-e-nau-bahaar mein hain
tufaan ke baa'd main bhi bahut TuuT saa gayaa
dariyaa phir apne rukh pe bahaa le gayaa mujhe
darakht karte nahin is liye umid-e-vafaa
vo jaante hain parindon ke par nikalte hain
kyuun logon se mehr-o-vafaa ki aas lagaae baiThe ho
jhuuT ke is makruh nagar mein logon kaa kirdaar kahaan
baandh ke ahd-e-vafaa log chale jaate hain
chhoD jaate hain faqat jism ki uljhi gaanThein
ab ke ummid-e-vafaa baandh rahaa huun jis se
log kahte hain ki vo shakhs bhi harjaai hai
mohabbat ruup mein Dhalti to vo ik devtaa hotaa
main us ko pujne lagtaa agar vo baa-vafaa hotaa