Shayari
raushni ho rahi hai kuchh mahsus
kyaa shab aakhir tamaam ko pahunchi
saare dil ek se nahin hote
farq hai kankar aur nagine mein
سارے دل ایک سے نہیں ہوتے
فرق ہے کنکر اور نگینے میں
सारे दिल एक से नहीं होते
फ़र्क़ है कंकर और नगीने में

raushni ho rahi hai kuchh mahsus
kyaa shab aakhir tamaam ko pahunchi
na dekh mujh ko mohabbat ki aankh se ai dost
miraa vajud miraa muddaaa na ho jaae
koi manzil nahin baaqi hai musaafir ke liye
ab kahin aur nahin jaaegaa ghar jaaegaa
hangaama-e-hasti se guzar kyuun nahin jaate
raste mein khaDe ho gae ghar kyuun nahin jaate
aag si lag rahi hai siine mein
ab mazaa kuchh nahin hai jiine mein
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
unhein apne dil ki khabrein mire dil se mil rahi hain
main jo un se ruuTh jaaun to payaam tak na pahunche
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
dil-e-haris hi apnaa na ho sakaa qaane
vagarna tere karam mein to kuchh kami na rahi
main badalte hue haalaat mein Dhal jaataa huun
dekhne vaale adaakaar samajhte hain mujhe
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh