Shayari
tum ne to hukm-e-tark-e-tamannaa sunaa diyaa
kis dil se aah tark-e-tamannaa kare koi
yaa to kisi ko jurat-e-didaar hi na ho
yaa phir miri nigaah se dekhaa kare koi
یا تو کسی کو جرأت دیدار ہی نہ ہو
یا پھر مری نگاہ سے دیکھا کرے کوئی
या तो किसी को जुरअत-ए-दीदार ही न हो
या फिर मिरी निगाह से देखा करे कोई

tum ne to hukm-e-tark-e-tamannaa sunaa diyaa
kis dil se aah tark-e-tamannaa kare koi
taskin-e-dil-e-mahzun na hui vo sai-e-karam farmaa bhi gae
is sai-e-karam ko kyaa kahiye bahlaa bhi gae taDpaa bhi gae
Dubo di thi jahaan tufaan ne kashti
vahaan sab the khudaa kyaa naa-khudaa kyaa
ham arz-e-vafaa bhi kar na sake kuchh kah na sake kuchh sun na sake
yaan ham ne zabaan hi kholi thi vaan aankh jhuki sharmaa bhi gae
tire maathe pe ye aanchal bahut hi khuub hai lekin
tu is aanchal se ik parcham banaa leti to achchhaa thaa
tumhin to ho jise kahti hai naakhudaa duniyaa
bachaa sako to bachaa lo ki Dubtaa huun main
use subh-e-azal inkaar ki jurat hui kyunkar
mujhe maalum kyaa vo raaz-daan teraa hai yaa meraa
naahaq ham majburon par ye tohmat hai mukhtaari ki
chaahte hain so aap karein hain ham ko abas badnaam kiyaa
aalam aalam ishq-o-junun hai duniyaa duniyaa tohmat hai
dariyaa dariyaa rotaa huun main sahraa sahraa vahshat hai
subut-e-ishq ki ye bhi to ek surat hai
ki jis se pyaar karein us pe tohmatein bhi dharein
ulTe vo shikve karte hain aur kis adaa ke saath
be-taaqati ke taane hain uzr-e-jafaa ke saath
divaar ke us paar jaane ki tamanna hai to phir
himmat juTaa kar tum kabhi divaar Dhaate kyon nahin