Shayari
aadmi kaa amal se rishta hai
kaam aataa nahin nasab kuchh bhi
dekho to har ik rang se miltaa hai miraa rang
socho to har ik baat hai auron se judaa bhi
دیکھو تو ہر اک رنگ سے ملتا ہے مرا رنگ
سوچو تو ہر اک بات ہے اوروں سے جدا بھی
देखो तो हर इक रंग से मिलता है मिरा रंग
सोचो तो हर इक बात है औरों से जुदा भी

aadmi kaa amal se rishta hai
kaam aataa nahin nasab kuchh bhi
kis darja mire shahr ki dilkash hai fazaa bhi
maanus har ik chiiz hai miTTi bhi havaa bhi
raat aangan mein chaand utraa thaa
tum mile the ki khvaab dekhaa thaa
gham-gusaari ke liye ab nahin aataa hai koi
zakhm bhar jaane kaa imkaan na huaa thaa so huaa
ab aa bhi jaao ki ik dusre mein gum ho jaaein
visaal-o-hijr kaa qissa bahut puraanaa huaa
jo dekhiye to zamaana hai tez-rau kitnaa
tulu-e-subh abhi hai to vaqt-e-shaam abhi
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ye kyaa ki khayaalon se uDi jaati hai khushbu
main ne to abhi tak use sochaa bhi nahin hai
na aastin mein khanjar na lab pe shirini
ye kaise 'aql ke dushman se dosti hui hai
zindagi bhar zinda rahne ki yahi tarkib hai
us taraf jaanaa nahin bilkul jidhar ki sochnaa
vo itni shiddaton se sochtaa hai
ki jaise main bhi koi masala huun