Shayari
qarib se na guzar intizaar baaqi rakh
qaraabaton kaa magar e'tibaar baaqi rakh
masarrat aur gham donon ki koi had zaruri hai
kisi bhi ek shai kaa silsila achchhaa nahin lagtaa
مسرت اور غم دونوں کی کوئی حد ضروری ہے
کسی بھی ایک شے کا سلسلہ اچھا نہیں لگتا
मसर्रत और ग़म दोनों की कोई हद ज़रूरी है
किसी भी एक शय का सिलसिला अच्छा नहीं लगता

qarib se na guzar intizaar baaqi rakh
qaraabaton kaa magar e'tibaar baaqi rakh
uThe jaate hain dida-var sabhi aahista aahista
ye duniyaa mo'tabar logon se khaali hoti jaati hai
churaa ke laae hain kuchh log lafz ke moti
inhein vo bech rahe hain dukaan dukaan ho kar
vo baat mujh ko to dushnaam si lagi hai 'atiq'
tumhaaraa naam likhaa kis ne be-vafaaon mein
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate
main ne apni palkon par gham-kade sajaae hain
aarzu ke maatam mein sogvaar hasti hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin