Shayari
masarrat aur gham donon ki koi had zaruri hai
kisi bhi ek shai kaa silsila achchhaa nahin lagtaa
vo baat mujh ko to dushnaam si lagi hai 'atiq'
tumhaaraa naam likhaa kis ne be-vafaaon mein
وہ بات مجھ کو تو دشنام سی لگی ہے عتیقؔ
تمہارا نام لکھا کس نے بے وفاؤں میں
वो बात मुझ को तो दुश्नाम सी लगी है 'अतीक़'
तुम्हारा नाम लिखा किस ने बे-वफ़ाओं में

masarrat aur gham donon ki koi had zaruri hai
kisi bhi ek shai kaa silsila achchhaa nahin lagtaa
qarib se na guzar intizaar baaqi rakh
qaraabaton kaa magar e'tibaar baaqi rakh
uThe jaate hain dida-var sabhi aahista aahista
ye duniyaa mo'tabar logon se khaali hoti jaati hai
churaa ke laae hain kuchh log lafz ke moti
inhein vo bech rahe hain dukaan dukaan ho kar
aashiqi mein bahut zaruri hai
bevafaai kabhi kabhi karnaa
kyaa kyaa fareb dil ko diye iztiraab mein
un ki taraf se aap likhe khat javaab mein
bahut fareb se ham vahshiyon ko vahshat hai
hamaare dasht mein 'naasikh' kahin saraab nahin
aankhein na jiine deingi tiri be-vafaa mujhe
kyuun khiDkiyon se jhaank rahi hai qazaa mujhe
ajab nahin ki ye dariyaa nazar kaa dhokaa ho
ajab nahin ki koi raasta nikal aae
husn ye hai ki dilrubaa ho tum
aib ye hai ki bevafaa ho tum