Shayari
ye nahin dekhte kitni hai riyaazat kis ki
log aasaan samajh lete hain aasaani ko
bahut se saanp the is ghaar ke dahaane par
dil is liye bhi khazaana shumaar hone lagaa
بہت سے سانپ تھے اس غار کے دہانے پر
دل اس لئے بھی خزانہ شمار ہونے لگا
बहुत से साँप थे इस ग़ार के दहाने पर
दिल इस लिए भी ख़ज़ाना शुमार होने लगा

ye nahin dekhte kitni hai riyaazat kis ki
log aasaan samajh lete hain aasaani ko
badal ke dekh chuki hai reaayaa saahib-e-takht
jo sar qalam nahin kartaa zabaan khinchtaa hai
bhanvar se ye jo mujhe baadbaan khinchtaa hai
zarur koi havaaon ke kaan khinchtaa hai
dalil us ke dariche ki pesh ki main ne
kisi ko patli gali se nahin nikalne diyaa
vasl ke ek hi jhonke mein
kaan se baale utar gae
aisi ghurbat ko khudaa ghaarat kare
phuul bhejvaane ki gunjaaish na ho
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
us ke dil par bhi kaDi ishq mein guzri hogi
naam jis ne bhi mohabbat kaa sazaa rakkhaa hai
ik din vo mil gae the sar-e-rahguzar kahin
phir dil ne baiThne na diyaa umr bhar kahin
har dil-fareb chiiz nazar kaa ghubaar hai
aankhein hasin hon to khizaan bhi bahaar hai
vahi kaifiyyat-e-chashm-o-dil-o-jaan hai 'iqbaal'
na koi rabt banaa aur na rishta TuuTaa