Shayari
ye nahin dekhte kitni hai riyaazat kis ki
log aasaan samajh lete hain aasaani ko
manzar-e-shaam-e-gharibaan hai dam-e-rukhsat-e-khvaab
taaziye ki tarah uTThaa hai koi bistar se
منظر شام غریباں ہے دم رخصت خواب
تعزیے کی طرح اٹھا ہے کوئی بستر سے
मंज़र-ए-शाम-ए-ग़रीबाँ है दम-ए-रुख़्सत-ए-ख़्वाब
ताज़िए की तरह उट्ठा है कोई बिस्तर से

ye nahin dekhte kitni hai riyaazat kis ki
log aasaan samajh lete hain aasaani ko
bahut se saanp the is ghaar ke dahaane par
dil is liye bhi khazaana shumaar hone lagaa
badal ke dekh chuki hai reaayaa saahib-e-takht
jo sar qalam nahin kartaa zabaan khinchtaa hai
bhanvar se ye jo mujhe baadbaan khinchtaa hai
zarur koi havaaon ke kaan khinchtaa hai
dalil us ke dariche ki pesh ki main ne
kisi ko patli gali se nahin nikalne diyaa
aisi ghurbat ko khudaa ghaarat kare
phuul bhejvaane ki gunjaaish na ho
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
ghazal mein jab talak ehsaas ki shiddat na ho shaamil
faqat alfaaz ki kaarigari mahsus hoti hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
jalte mausam mein koi faarigh nazar aataa nahin
Dubtaa jaataa hai har ik peD apni chhaanv mein
subh ko khul jaaegaa donon mein kyaa yaaraana hai
shama parvaana ki hai yaa shama kaa parvaana hai