Shayari
jo bijliyon ki panaahon mein tum banaa sakte
to is qadar na tumhein khauf-e-aashiyaan hotaa
ab zamaane se aur kyaa maangun
daulat-e-gham bahut ziyaada hai
اب زمانے سے اور کیا مانگوں
دولت غم بہت زیادہ ہے
अब ज़माने से और क्या माँगूँ
दौलत-ए-ग़म बहुत ज़ियादा है

jo bijliyon ki panaahon mein tum banaa sakte
to is qadar na tumhein khauf-e-aashiyaan hotaa
manzil pe nazar aai bahut duri-e-manzil
be-saakhta aane lage sab raah-numaa yaad
aabaad mai-kade bhi hain dair-o-haram bhi nahin
lekin na aadmi ko milaa koi aadmi
zindagaani kaa lutf to 'azmat'
sirf tufaan ki panaah mein hai
ye baat bhi hai ki tu bhi nahin hai ab meraa
ye baat bhi hai ki tere sivaa nahin koi
kal ye mumkin hai ki lahraaein khushi ke giit bhi
har nazar mein aaj ik khaamosh saa aalam sahi
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tumhaare hisse ke jitne bhi gham hain main le luun
mire nasib ki har ik khushi mile tum ko
nashtar-e-gham na jis ko raas aayaa
ziist us ko kabhi na raas aai
ek dard ki lazzat barqaraar rakhne ko
kuchh latif jazbon ki khuun se aabyaari ki