Shayari
is badalte hue zamaane mein
tere qisse bhi kuchh puraane lage
dil ki divaar gir gai shaayad
apni aavaaz kaan mein aai
دل کی دیوار گر گئی شاید
اپنی آواز کان میں آئی
दिल की दीवार गिर गई शायद
अपनी आवाज़ कान में आई

is badalte hue zamaane mein
tere qisse bhi kuchh puraane lage
kuchh na paa kar bhi mutmain hain ham
ishq mein haath kyaa khazaane lage
yahi rasta hai ab yahi manzil
ab yahin dil kisi bahaane lage
rang-e-dil rang-e-nazar yaad aayaa
tere jalvon kaa asar yaad aayaa
ek hansti hui badli dekhi
ek jaltaa huaa ghar yaad aayaa
dosti khun-e-jigar chaahti hai
kaam mushkil hai to rasta dekho
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
sukun-e-qalb to kiyaa hai qaraar-e-jaan bhi luTaa
tumhaari yaad bhi aai to raahzan ki tarah
koi mile na mile be-qaraar rahtaa hai
ki dil kaa haal bhi ik mauj-e-aab jaisaa hai
kaTaa na koh-e-alam ham se kohkan ki tarah
badal sakaa na zamaana tire chalan ki tarah
dil ne go laakh ye chaahaa ki bhulaa duun tujh ko
yaad ne teri magar aaj bhi maaraa shab-khun