Shayari
is badalte hue zamaane mein
tere qisse bhi kuchh puraane lage
ham ki shoala bhi hain aur shabnam bhi
tu ne kis rang mein dekhaa ham ko
ہم کہ شعلہ بھی ہیں اور شبنم بھی
تو نے کس رنگ میں دیکھا ہم کو
हम कि शोला भी हैं और शबनम भी
तू ने किस रंग में देखा हम को

is badalte hue zamaane mein
tere qisse bhi kuchh puraane lage
kuchh na paa kar bhi mutmain hain ham
ishq mein haath kyaa khazaane lage
yahi rasta hai ab yahi manzil
ab yahin dil kisi bahaane lage
rang-e-dil rang-e-nazar yaad aayaa
tere jalvon kaa asar yaad aayaa
ek hansti hui badli dekhi
ek jaltaa huaa ghar yaad aayaa
dosti khun-e-jigar chaahti hai
kaam mushkil hai to rasta dekho
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
ai mishal-e-ummid ye ehsaan kam nahin
taarik shab ko tu ne darakhshaan banaa diyaa
raat pi zamzam pe mai aur subh-dam
dhoe dhabbe jaama-e-ehraam ke